Paikar-e-dilruba ban ke aaya, rooh-e-arz-o-sama ban ke aaya Sab rasool-e-Khuda ban ke aaye, woh Habeeb-e-Khuda ban ke aaya
Hazrat-e-Aamna ؓ ka dulara, Haleema ؓ ki aankhon ka tara Woh shikasta dilon ka sahara, be-kason ki dua ban ke aaya
Dast-e-qudrat ne aisa sajaya, husn-e-takhleeq ko rashk aaya Jis ka paya kisi ne na paya, woh Khuda ki raza ban ke aaya
Tajdaron ne di hai salami, badshahon ne ki hai ghulami Be-misal us ka ism-e-girami, Mujtaba Mustafa ban ke aaya
Masnad-e-naaz arsh-e-bareen hai, boriya jis ka farsh-e-zameen hai Dar ka darban Rooh-e-Ameen hai, Sarwar-e-Anbiya ban ke aaya
Woh Nabi Rahmat-e-Aalameen hai, jo bhi hai un ke zer-e-nageen hai Aisa ghamkhwar dekha nahin hai, jaisa Khair-ul-Wara ban ke aaya hai
Hai Zahoor-e-badi shan un ki, madh karta hai Quran un ki Naat parhta hai Hassan ؓ un ki, jo mera rahnuma ban ke aaya





