Nigahon mein meri roze ka ho manzar dam-e-aakhir Zabaan pe ho durood un ﷺ par salaam un ﷺ par dam-e-aakhir
Tilaawat ho rahi ho Surah Yaseen ki mehfil mein Rasool-e-Pak ﷺ ke dar par rakha ho sar dam-e-aakhir
Wahan par bhi sajaaun main durood-o-naat ki mehfil Koi aisa Madine mein ho mera ghar dam-e-aakhir
Rahoon qadmain mein main mehv-e-girya sharmsaar mein Rahe daaman-e-dil, aankhein bhi meri tar dam-e-aakhir
Pila dena mujhe jee bhar ke ishq-e-Mustafa ﷺ saaqi Pila dena ziyaarat ka koi saaghar dam-e-aakhir
Nashe mein jhoomta chalne lagoon main qabr ki jaanib Wahan ja kar karoon gul paashiyaan un ﷺ par dam-e-aakhir
Utar jaaun main apni qabr mein Sall-e-Ala parhte Dar-e-aqdas ka le kar lams maathe par dam-e-aakhir
Azeez aankhon mein yeh manzar liye aakhir main so jaaun Hoon baitha un ﷺ ke qadmon mein sar-e-mahshar dam-e-aakhir



