Dunya ki aarzu hai na namood ki talab hai Mera naam hai nadamat, sharmindagi nasab hai
Mujhe khwahishon ne ghera mujhe lazzaton ne maara Mera tareeqa ajab hai mera almiya ajab hai
Mera khauf-e-gunahgari, mera chain aah-o-zari Meri justuju Madinah, meri aarzu adab hai
Mera gham teri raza hai, yahi gham meri khushi hai Usi gham se din hai roshan, tabindah meri shab hai
Jaan se guzar ke hogi teri deed tak rasai Yun be-qarar jeena bhi qarar ka sabab hai
Kuch ahl-e-deed hain jo deedar kar rahe hain Hum intezar mein hain deedar ki talab hai
Hoon hashr ka musafir aur zaad-e-rah nahi hai Nigah-e-karam ho Aaqa yeh ghulam jaan-ba-lab hai
Dar-e-Mustafa pe ja kar main ne Aziz dekha Mahw-e-sana do-aalam, mahw-e-durood-e-Rab hai



