Farogh-e-waqt keh hai tera rahro ab bhi Muheet-e-asr tere ishq ki hai ziya ab bhi
Unhi ﷺ ke dar pe giro jis tarah se ho ab bhi Ke ek saans ki fursat hai dosto ab bhi
Tere wujood se hai kainaat husn-e-shuaar Tere junoon mein anasir hain madh-go ab bhi
Yeh kainaat to kya la-makaan bhi wajd mein hai Nihaal-e-Sidra pe hai koi naat-go ab bhi
Woh noor, sall-e-ala, sa'at-e-dua-e-Hira Jabeen-e-aakhir-e-shab par hai jis ki ziya ab bhi
Saba ke haath mein bu-e-gul-e-Madinah hai Saba ke haath se khairaat maang lo ab bhi
Saba Madine se aayi hai roshni le kar Charagh-e-dil ko saba aashna karo ab bhi
Huzoor ﷺ aap ki ummat ke kaarwan ki khair Ke raahzan hain nihan ban ke rahro ab bhi
Faseel-e-shehr pe likha hai garcha kal ka azaab Dar-e-najaat khula hai sitam-garo ab bhi
Naveed-e-husn-e-muqaddar hai khufta bakhton ko Huzoor ﷺ baant rahe hain karam, garo ab bhi
Ik ummati keh nadamat mein mar gaya hai Huzoor ﷺ Karam ki bheek mile, iltifat ho ab bhi
Hawa-e-naat hai gul-rang mausamon ki naqeeb Dar-e-sukhan pe khadi hai bahaar-e-nau ab bhi
Huzoor ﷺ qatre ko dariya ki wus'atein den ge Gada-e-koocha-e-rehmat, sada karo ab bhi
Yeh roshni si jo baaqi hai kasa-e-sar mein Kuch is tarah ho keh sarf-e-kitaab ho ab bhi
Nidhaal kar gaya toofaan-e-rang-o-boo mujh ko Ae Shah-e-faqr! tanaffus ujaal do ab bhi
Gham-e-raza-e-Nabi ﷺ ki thi chaudhwin kal raat Hujoom-e-shauq hai palkon pe mehv-e-ziya ab bhi
Aziz ؔ tootne wala hai ab hisaar-e-badan Wujood waqf-e-dar-e-Mustafa ﷺ karo ab bhi



