Main kho jaaun Ya Mustafa kehte kehte Miloon bhi toh sall-e-ala kehte kehte
Madine ki galiyon mein deewana ban kar Bhatakta rahoon dilruba kehte kehte
Isi ko main hosh-o-khirad jaanta hoon Rahoon be-khabar Mustafa kehte kehte
Jo baithe dar-e-Mustafa kehte kehte Uthe Sidratul-Muntaha kehte kehte
Main mar jaaun zikr-e-Khuda kehte kehte Main phir jee uthoon Mustafa kehte kehte
Isi tarah phir marta jeeta rahoon main Khuda aur kabhi Mustafa kehte kehte
Main Tahir ki sohbat mein jab aa ke baitha Muhammad mila Murtaza kehte kehte
Yeh Tahir ki nigah-e-ata ka asar hai Khuda mil gaya Mustafa kehte kehte
Mila teri sangat mein kamli ka saaya Sana-e-Rafiqul-Ala kehte kehte
Falak par Muhammad ka jalwa dikhaya Muhammad ko noor-e-Khuda kehte kehte
Hai Tahir ne ishq-e-Muhammad pilaya Mohabbat ka jaam-e-Raza kehte kehte
Dilon mein utara hai Quran us ne Sana-e-Shah-e-Dosara kehte kehte
Woh duniya mein noor-e-huda baant-ta hai Hadees-e-jamal-e-Khuda kehte kehte
Mila teri chaukhat se aqba ka rasta Shab-o-roz sall-e-ala kehte kehte
Tere sang uthoonga hashr mein Tahir Muhammad pe sall-e-ala kehte kehte
Aziz apni khalwat mein mast-e-nawa hai Paaye deed harf-e-dua kehte kehte



