Nigah-e-Mustafa ki jidhar ho rahi hai Udhar hi Khuda ki nazar ho rahi hai
Woh khatir mein laatay nahin badshahi Tere dar pe jin ki basar ho rahi hai
Tasawwur mein lamhaat la kar toh dekho Bilali azaan se sahar ho rahi hai
Sana-khwani-e-Mustafa ki badolat Sana-khwan teri qadr ho rahi hai
Tadapte huay jo sukoon mil raha hai Tadapne ki un ko khabar ho rahi hai
Hai rashk-e-malaik jo Aaqa ke dar par Meri zindagani nazar ho rahi hai
Main har shab teri raah takta hoon Aaqa Judai kyun aakhir amar ho rahi hai
Ajab dard hai yeh judai ka Afzal Bichadte huay aankh tar ho rahi hai



