We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Aye Shehar e NabiNot Verified

Afzal Noshahi

Ae shehr-e-Nabi tere kya khoob nazare hain Barish jahan jalwon ki anwar ke dhare hain


Us waqt chalakte hain aankhon se meri aansu Jab Masjid-e-Nabvi ke nazar aate minar hain


Jab chhatriyan khulti hain Aaqa ke haram mein Kya adab ka manzar hai pur-kaif nazare hain


Hajat hi nahi rehti de dete hain woh itna Aaqa tere mangton ke kya ware nyare hain



Free Up Space - Get Lyrics Without Bulky Screenshots!

Get it on Google Play


Khairat bati husn ki aur noor ki har su hai Sarkar-e-Madinah ne jab gaisoo sanware hain


Rukh tera jidhar hota Ka'ba bhi udhar phirta Khaliq ne tere husn ke kya naqsh utare hain


Hasnain o Ali Fatima hain deen ke aflak Aaqa hain qamar is mein as-haab sitare hain


Imaan yeh mera hai Afzal yeh aqeeda hai Jeete bhi sabhi un ki rehmat ke sahare hain

Download Lyrics & Access Offline - Install Our App Now!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah