Nigah-e-rehmat uthi hui hai woh sab ki bigri bana rahe hain Khula hua hai Kareem ka dar, bhare khazane luta rahe hain
Falak ka seena damak raha hai zameen ka gulshan mehak raha hai Chire hain Sall-e-Ala ke naghme huzoor tashreef la rahe hain
Na un sa koi azeem dekha, na aisa dar-e-yateem dekha Zamane thukra raha hai jin ko unhein woh seene laga rahe hain
Kare ga yeh hashr bhi nazara banen ge mushkil mein woh sahara Karen ge sab intezar Aqa woh aa rahe hain woh aa rahe hain
Baroz-e-mahshar ba-waqt-e-pursish mujhe jo dekha farishte bole Idhar pareshan kyun khare ho tumhein Aqa bula rahe hain
Nabi ki to'seef Allah Allah ke daad Jibreel ؑ de raha hai Zahoori kya khush-naseeb hain jo Nabi ki naat-ein suna rahe hain





