Nigah-e-mehr jo us mehr ki idhar hojaye Gunah ke daagh mitain dil mera qamar hojaye
Jo qalb-e-teera pe teri kabhi nazar hojaye To ek noor ka buq'ah woh sar-ba-sar hojaye
Hamari kisht-e-amal mein kabhi to phal aaye Kabhi to shajar-e-umeed bar-war hojaye
Kabhi to aisa ho ya Rabb woh dar ho aur yeh sar Kabhi to un ki gali mein mera guzar hojaye
Hamara sar ho Khudaya Habib ka dar ho Hamari umr Ilahi yunhi basar hojaye
Jo sachay dil se kahay koi Ya Rasool Allah Museebatein bhi talain har muhim bhi sar hojaye
Meri museebaton ka silsila abhi kat jaye Ishara abru-e-kham-daar ka agar hojaye
Tadap rahay hain firaq-e-Habib mein aashiq Ilahi rah-e-Madinah ki be-khatar hojaye
Teray ghazab se hon gharat yeh dahr ke shaitan Banay ghulam har ek un mein dar-ba-dar hojaye
Jo Aap chahain to hezam ko dam mein sabz karain Karam jo Aap ka ho khuld ka shajar hojaye
Khuda ke fazl se har khushk-o-tar pe qudrat hai Jo chaho tar ho abhi khushk, khushk tar hojaye
Ayan hai dabdaba tera samawa sawa se Hamari kheti bhi sookhi hai pyaray tar hojaye
Jo kaisa Taj ka le kar tumharay dar par aaye To badshah-e-haqeeqat mein tajwar hojaye
Teray gadaon ki paposh taj-e-sultan hai Woh jis ke sar pe rakhain na'l tajwar hojaye
Jo Aap hon meray pallay pe phir mujhay kya dar Jidhar nigah-e-karam ho Khuda udhar hojaye
Jo khwab mein kabhi tashreef lain jan-e-qamar To un ke noor se ma'moor sara ghar hojaye
Khuda ne qalb-e-haqeeqat tumharay hath kiya Jo shakh larnay ko do tegh aur tabar hojaye
Jo waqt-e-wazn giran-palla ho gunahon ka Shafa'at Aap ki us dam meri sipar hojaye
Andheri shab mein karam se tumharay ay Sarwar Asa sahaba ka fanoos-e-rahbar hojaye
Khuda ne ghaib tumharay liye huzoor kiya Jo raaz dil mein chupay hon tumhain khabar hojaye
Woh aain teeragi ho door meray ghar bhar ki Shab-e-firaq ki ya Rabb kabhi sahar hojaye
Hijab uthain jo marqad se un ke rauzah tak Andhera qabr ka mit jaye dopehar hojaye
Teray Habib ke dushman hain aur khud teray Har ek un mein ka fin-nari was-saqar hojaye
Kinar-e-atifat-e-hawiyah mein ik ik jaye Jo maan ki god mein baithay to khush-pisar hojaye
Sarapa aag ke darya mein doob jain yeh Agar hameem ka darya kamar kamar hojaye
Chamak uthay meri qismat ka tara ay Noori Agar woh ghairat-e-khursheed meray ghar hojaye





