Nahin hai daawa mujhe koi parsai ka Sahara bas hai tere dar se ashnai ka
Tumhare chahne walon mein kamtareen hoon magar Meri jabeen pe nahin daagh-e-bewafai ka
Ameer sare jahan ke use salam karein Hai jis ke hath mein kosa teri gadai ka
Tere karam ne kiya sab se beniaz mujhe Nahin hai khauf zamane ki kaj-adai ka
Jahan pe aur dawa koi kargar na hui Asar para hai tere naam ki duhai ka
Zahoori roz-e-bala ke mujhe woh sunte hain Sila mila hai mujhe teri khush nawai ka





