Na kyun araaishein karta Khuda duniya ke saamaan mein Tumhein dulha bana kar bhejna tha bazm-e-imkaan mein
Yeh rangeeni yeh shaadabi kahan gulzaar-e-Rizwan mein Hazaron jannatein aakar basi hain koo-e-jaanaan mein
Khizaan ka kis tarah ho dakhl jannat ke gulistaan mein Bahaarein bas chuki hain jalwa-e-rangeen-e-jaanaan mein
Tum aaye roshni phaili hawa din khul gayi aankhein Andhera sa andhera chha raha tha bazm-e-imkaan mein
Thaka maanda woh hai jo paaon apne tod kar baitha Wahi pahuncha hua thehra jo pahuncha koo-e-jaanaan mein
Tumhara kalma padhta uthe tum par sadqe hone ko Jo paaye paak se thokar laga do jism-e-be-jaan mein
Ajab andaaz se mehboob-e-Haq ne jalwa farmaya Sarwar aankhon mein aaya jaan dil mein noor-e-imaan mein
Fida-e-khaar-haaye dasht-e-Taibah phool jannat ke Yeh woh kaante hain jin ko khud jagah dein gul rag-e-jaan mein
Har ik ki aarzoo hai pehle mujh ko zibah farmayein Tamasha kar rahe hain marne waale eid-e-qurbaan mein
Zuhoor-e-paak se pehle bhi sadqe the Nabi tum par Tumhare naam hi ki roshni thi bazm-e-khoobaan mein
Kaleem aasa na kyonkar ghash hon unke dekhne waale Nazar aate hain jalwe Toor ke rukhsaar-e-taabaan mein
Hawa badli ghire baadal khile gul bulbulein chahkein Tum aaye ya bahaar-e-jaan fiza aayi gulistaan mein
Kisi ko zindagi apni na hoti is qadar meethi Magar dhowan tumhare paaon ka hai sheera-e-jaan mein
Use qismat ne us ke jeete jee jannat mein pahunchaya Jo dam lene ko baitha saaya-e-deewar-e-jaanaan mein
Kiya parwanon ko bulbul nirali sham'a laaye tum Gire padte the jo aatish pe woh pahunche gulistaan mein
Naseem-e-Taibah se bhi sham'a gul ho jaaye lekin yun Ke gulshan phoolhein jannat lah-lahaa uthe charaaghan mein
Agar dood-e-charaagh-e-bazm-e-Shah chhu jaaye kaajal se Shab-e-qadr-e-tajalli ka ho surma-e-chashm-e-khoobaan mein
Karam farmaye gar baagh-e-Madinah ki hawa kuch bhi Gul-e-jannat nikal aayein abhi sarv-e-charaaghan mein
Chaman kyonkar na mehkein bulbulein kyonkar na aashiq hon Tumhara jalwa-e-rangeen bhara phoolon ne daamaan mein
Agar dood-e-charaagh-e-bazm-e-wala mas kare kuch bhi Shameem-e-mushk bas jaaye gul-e-sham'a-e-shabistaan mein
Yahan ke sang-rezon se Hasan kya laal ko nisbat Yeh un ki rah-guzar mein hain woh patthar hai Badakhshaan mein





