Na chhero zikr-e-jannat ab Madinah yaad aaya hai Nabi ka sabz gumbad dil ki aankhon mein samaya hai
Mila karti hain munh maangi muraadein tere rozay par Ghulamun ne tere dar se jo maanga hai woh paaya hai
Nazar aata hai ooncha aasmanun se tera gumbad Buland arsh-e-muazzam se teri turbat ka paaya hai
Na hota tu agar tu ein-o-aan kuch bhi nahi hota Tere baa'is yeh saara baagh-e-aalam lehlahaya hai
Khuda ki saltanat ke tum ho dulha Ya RasoolAllah Tumhaare vaaste Rab ne yeh sab aalam sajaya hai
Shab-e-Isra mubarakbaad thi yeh hoor-o-ghilman mein Muhammad ko Khuda-e-paak ne dulha banaya hai
Tu hai aaina-e-wahdat koi kab misl hai tera Tu hai saya Khuda ka do-jahan par tera saya hai
Namazun mein, azaan mein, kalma mein aur arsh par har ja Khuda ne naam tera naam se apne milaya hai
Uloom-e-awwalin-o-aakhireen se bhar diya seena Khuda ne tujh ko har ik baat ka aalam banaya hai
Zameen ko chirte dore hue aaye hain khidmat mein Darakhtun ne ishara aap ka jis waqt paaya hai
Ijabt ne liya bosa tumhaare pyaare honton ka Dua ke vaaste jis waqt lab tum ne hilaya hai
Yeh mumkin hi nahi beri na kaato tum ghulamun ki Ke jab qaidi hiran ko qaid se tum ne churaya hai
Tumhaari zaat par kyonkar bharosa ho na aalam ko Gunahgarun ko tum ne naar-e-dozakh se bachaya hai
Koi pursan-e-haal apna nahi hai Ya RasoolAllah Jo apna hai to tu hai aur baqi sab paraya hai
Sana-e-Mustafa woh bhi riwayat-e-sahiha se Jamil Qadri kya khoob tere paas maaya hai





