Mujrim-e-haibat-zada jab fard-e-isyaan le chala Lutf-e-Shah-e-taskeen deta pesh-e-Yazdaan le chala
Dil ke aa'ine mein jo tasveer-e-jaanaan le chala Mehfil-e-jannat ki aaraish ka saamaan le chala
Rahraw-e-jannat ko Taiba ka bayaabaan le chala Daaman-e-dil khenchta khaar-e-mughilaan le chala
Gul na ho jaaye charagh-e-zeenat-e-gulshan kahin Apne sar mein main hawa-e-dasht-e-jaanaan le chala
Ru-e-aalam-taab ne baanta jo baara noor ka Maah-e-nau kashti mein pyaala mehr-e-taabaan le chala
Go nahin rakhte zamaana ki woh daulat apne paas Par zamaana ne'amaton se bhar ke daamaan le chala
Teri haibat se mila taaj-e-salaateen khaak mein Teri rahmat se gada takht-e-Sulaimaan le chala
Aisi shaukat par ke urta hai pharera arsh par Jis gada ne aarzoo ki un ko mehmaan le chala
Dabdaba kis se bayaan ho un ke naam-e-paak ka Sher ke munh se salaamat jaan-e-Salmaan le chala
Sadqe us rahmat ke un ko roz-e-mehshar har taraf Naashakeeba shor-e-faryaad-e-aseeraan le chala
Saaz-o-saamaan-e-gada-e-koo-e-Sarwar kya kahoon Un ka mangta Sarwari ke saaz-o-saamaan le chala
Do qadam bhi chal na sakte hum sar-e-shamshir-e-tez Haath pakre Rabb-e-Sallim ka nigahbaan le chala
Dastgeer-e-khasta-haalaan dastgeeri kijiye Paanv mein ra'asha hai sar par baar-e-isyaan le chala
Waqt-e-aakhir na-umeedi mein woh surat dekh kar Dil shikasta dil ke har paara mein Quran le chala
Qaidiyon ki junbish-e-abroo se beri kaat do Warna jurmon ka tasalsul su-e-zindaan le chala
Roz-e-mehshar shaad hon aasi ke pesh-e-Kibriya Rahm un ko ummati goyaan-o-giryaan le chala
Shakl-e-shabnam raaton ka rona tera abr-e-karam Subh-e-mehshar surat-e-gul hum ko khandaan le chala
Kushtagaan-e-naaz ki qismat ke sadqe jaaiye Un ko maqtal mein tamaasha-e-shaheedaan le chala
Akhtar-e-Islam chamka kufr ki zulmat chhanti Badr mein jab woh hilaal-e-tegh-e-barraan le chala
Bazm-e-khoobaan ko Khuda ne pehle dein aaraaishein Phir mere dulha ko su-e-bazm-e-khoobaan le chala
Allah Allah sarsar-e-Taiba ki rang-aameziyaan Har bagoola nazhat-e-sarv-e-gulistaan le chala
Ghamzadon ko jab shafa'at ne kiya umeed-waar Afw khushkhabri sunaata pesh-e-Yazdaan le chala
Qatra qatra un ke ghar se bahr-e-irfaan ho gaya Zarra zarra un ke dar se mehr-e-taabaan le chala
Subh-e-mehshar har ada-e-aariz-e-roshan mein woh Shama-e-noor afshaan paye shaam-e-ghareebaan le chala
Shafe'-e-roz-e-qayamat ka hoon adna ummati Phir Hasan kya gham agar main baar-e-isyaan le chala





