Mujh par bhi karam ho kabhi Sarkar-e-Madinah Dil mera bhi hai talib-e-deedar-e-Madinah
Mujrim ko jahan bheek mile lutf-o-ata ki Be-misal kaunain mein darbar-e-Madinah
Bikte hain karoron dil-e-ushaq yahan par Allah re raunaq-e-bazar-e-Madinah
Jo kuch bhi koi aa ke yahan mange, milega Har cheez ke mukhtar hain Sarkar-e-Madinah
Dekho na haqarat se mujhe dekhne walo Ankhon mein liye phirta hoon anwar-e-Madinah
Qudsi bhi ziyarat ko hain betab Zahori Hain rashk-e-do-alam dar-o-deewar-e-Madinah





