Mominon hai rehmat-e-Haq ka wurud Ba-adab tum kyun nahin parhte durood
Hai malaik ka yahan par izdiham Dast-e-basta kyun nahin parhte salam
Ba-adab hai banasib aye ahl-e-deen Be-adab se badnasibi hai qareen
Mujdah layi hai saba kis phool ka Jis ne aalam ko mu'attar kar diya
Aaj Ka'aba kis liye hai shadman Band hai aatish-kadon ka kyun dhuwan
But-kadon mein kis liye kehram hai Kufr ka kyun tukre tukre daam hai
Do jahan mein kis ka lutf-e-aam hai Bat raha Islam ka in'aam hai
Saf ba-saf hain kyun farishte ba-adab Shor kaisa hai Ajam se ta-Arab
Jannatein aarasta hain kis liye Shad sab shah-o-gada hain kis liye
Kaun sa mah-e-munawwar aayega Chandna phaila hai jis ke noor ka
Zalzala kyun qasr-e-Kisra mein para Kis ki aamad ka hai aisa dabdaba
Kyun kahanat par tabahi aa gayi Kaun se sultan ki hai jalwa-gari
Jab tahayyur ahl-e-hairat ko barha Hatif-e-ghaibi ne yun mujdah diya
Aamad aamad Sarwar-e-Aalam ki hai Aamad aamad Rehmat-e-A'azam ki hai
Aane wala Malik-e-Darain hai Jis ke ba'is khilqat-e-Konain hai
Ho raha hai aaj Ka'abe ka singhar Aur shayatin ro rahe hain zar-zar
Koi kehta hai ke aye ahl-e-jahan Naib-e-Rehman aata hai yahan
Koi kehta hai ke aayenge yahan Woh Nabi-ul-Anbiya ba-izz-o-shan
Jin ki aamad ki khabar Isa ne di Zikr farmate rahe jin ka Nabi
Naib-e-Haq badshah-e-do-jahan Jaan-e-imaan-o-makin-e-lamakan
Hai Nabi-ul-Anbiya un ka laqab Khatam-e-Paighambaran fakhr-e-Arab
Shafi'-e-mahshar unhi ka naam hai Deen-o-dunya mein unhi se kaam hai
Dar par un ke mangte hain tajdar Dono aalam ke yehi hain shahryar
Zarra-zarra ka hai un ko ikhtiyar Baant-te hain ne'matein lail-o-nahar
Sunte hain ye hi gharibon ki pukar Saare aalam ke yehi hain ghamgusar
Karte hain faryad un se janwar Bikeson ki ye hi lete hain khabar
Sar par un ke dono aalam ka hai taj Un ko dete hain shahan-e-dahar baaj
Mazhar-e-ilm-e-Khuda ummi laqab Mukhbir-e-Sadiq shahanshah-e-Arab
Un ki izzat kaun jaane juz Khuda Khud woh farmata hai law laka lama
Sang un ke paaye aqdas dekh kar Khenchte hain un ka naqsha qalb par
Kyun na ho hai Arsh ki izzat qadam Kyun na ho hai farsh ki zeenat qadam
Khak-e-pa iksir ka bharti hai dam Khata hai Quran bhi jis ki qasam
Jholiyan daale faqir-o-be-nawa Hath phailaye hue shah-o-gada
Kar rahe hain arz ba-zauq-o-tarab Aye mere mahr-e-Ajam mah-e-Arab
Gah dar dil-e-saaz-o-gah dar dideh ja Har do jaay-e-tust ya Badrud-Duja
Roo-siyah-o-bekas-o-khati manam Chashm-e-rehmat barkusha aasi manam
Man nayam munkir khatawar-e-tu am Bandah-e-ruswa-o-nakar-e-tu am
Karwan raft-o-pareshanam base Rahm kun ya Shah bar man be-kase
Dastgir-e-ma siyah-karan tui Aye shifa-e-dard-e-bimaran tui
Lo woh utha abr-e-rehmat jhoomta Rehmat-e-Aalam ki chaukhat choomta
Qaht-e-sali khak mein mil jayegi Dil ki aalam ke kali khil jayegi
Hai sawari aane wali anqarib Aane wale hain yahan Rab ke Habib
Shah-e-shahan aane wale hain yahan Yun sajaye jaate hain kaun-o-makan
Sab malak hain istada ba-adab Jalwa farmayenge ab Mahboob-e-Rab
Suniyo tum bhi bahut ta'zeem se Jholiyan phailaye ho jao khare
Aur kaho aye Shah-e-shahan assalam Mere Aaqa jaan-e-janan assalam
Aye Shafi'-e-roz-e-mahshar assalam Saqi-e-Tasnim-o-Kauthar assalam
Ahmad-o-Mahmood nami assalam Ummat-e-aasi ke hami assalam
Aye mere Me'raj wale assalam Rif'at-e-deen taj wale assalam
Arsh ki aankhon ke taare assalam Dono aalam ke sahare assalam
Ummati farmane wale assalam Pesh-e-Rab bakhshane wale assalam
Lambe lambe hathon wale assalam Pyari pyari zulfon wale assalam
Mere wali mere Maula assalam Mere waris mere Aaqa assalam
Sarwar-e-Aalam Muhammad zi-waqar Hon duroodein tum pe nazil be-shumar
Aye Khuda kar mujh ko abd-e-Mustafa Tab yaqin janon ke hon bandah tera
Aal-o-Ashab-e-Nabi ka rakh ghulam Aur na chhoote daman-e-Ghaus-e-Anam
Qadri mai se mujhe sarshar kar Mast be-khud be-khabar hoshiyar kar
Hain mashayikh silsile mein jis qadar Main na bhoolun yaad un ki umr bhar
Da'iman barakat ke barakat se Mujh ko hissa har jagah milta rahe
Mujh pe achhe ki rahe achhi nazar Noor-e-irfan se ho dil rashk-e-qamar
Mere murshid Hazrat-e-Ahmad Raza Kar de mujh ko zaat mein un ki fana
Un ke faiz-o-lutf se masroor rakh Qadri Razvi mujhe mashhoor rakh
Dost un ka hashr tak phoole phale Dushmanon par qahr ki bijli gire
Un ki sab aulad aur khuddam ka Ya-Khuda kar dono aalam mein bhala
Izzat-o-aish-o-ulum-o-fazl de Hashr tak yeh silsila jaari rahe
Ho Jameel-e-Qadri ki har du'a Ya-Khuda maqbool bahar-e-Mustafa





