Saja kar apni palkon par sitare Tumhaari hijr ke lamhe guzaare Nahin ab zabt ki taqat sambhaalo Mere aaqa Madinah mein bula lo
Yeh maana be-amal hoon par khata hoon Tumhaaredarka lekin mein gada hoon Mujhe bhi apne daaman mein chhupa lo Mere aaqa Madinah mein bula lo
Mere saaqi karam ki ek nazar ho Muqaddar ka sitara owj par ho Sahaara de kepusti se nikalo Mere aaqa Madinah mein bula lo
Tumhaara dar to hai Darbaar-e-Aali Rahe kyon door phir darka sawali Yeh keh dena Madinah mein bula lo Mere aaqa Madinah mein bula lo
Karam kar do Shah-e-Madinah Bhanvar mein doobne ko hai safeena Mujhe toofan ki zad se bachalo Mere aaqa Madinah mein bula lo
Mere dil ki taraf kab dekhte hain Haqaarat se mujhe sab dekhte hain Mujhe bhi apne sine se laga lo Mere aaqa Madinah mein bula lo
Andheron mein zamane ke ghira hoon Bahut din se giraftar bala hoon Main girta hoon khudara ab sambhalo Mere aaqa Madinah mein bula lo
Tumhaari yaad se aabaad hai dil Hazaaron ranj mein bhi shaad hai dil Mujhe jaroob-kash apna bana lo Mere aaqa Madinah mein bula lo
Wahin ab marna jeena chahta hoon Sharab-e-Ishq peena chahta hoon Madinah mein hi Khalid ko basa lo Mere aaqa Madinah mein bula lo





