Mera ghar ghairat-e-khursheed-e-darakhshan hoga Khair se jaan-e-Qamar jab kabhi mehman hoga
Jo tabassum se ayaan ik dur-e-dandan hoga Zarra zarra mere ghar ka mah-e-taban hoga
Kyun mujhe khauf ho mahshar ka ke hathon mein mere Daman-e-hami-e-khud mahi-e-isyaan hoga
Palla-e-isyaan ka garan bhi ho to kya khauf mujhe Mere palley pe to wo rahmat-e-Rahman hoga
Mujh se aasi ko jo be-dagh chuda layein ge Ahl-e-mahshar mein jo dekhe ga wo hairan hoga
Koi munh mera teke ga ke yeh wo aasi hai Jis ko hum jaante thay dakhil-e-mizan hoga
Koi us rahmat-e-alam pe tasaddaq hoga Koi yeh shan-e-karam dekh ke qurbaan hoga
Majra dekh ke hoga yeh kisi ko sakta Ik ta'ajjub se wo angusht-ba-dandan hoga
Un ki hairat pe kahoon ga ke ta'ajjub kya hai Khud Khuda hoga jidhar Sarwar-e-Zishan hoga
Dam nikal jaye tumhein dekh ke aasani se Kuch bhi dushwar na hoga jo yeh aasaan hoga
Zakhm par zakhm yahi khaye yahi qatl bhi ho Khoon-e-Muslim abhi kya is se bhi arzan hoga
Bheriyon ka hai yeh jangal nahin koi ra'i Bhooli bheron ka Shaha kaun nigahbaan hoga
Zulm par zulm sahay aur sazayein bhogte Aur uf ki to tah-e-khanjar-e-burran hoga
Yahi andher agar aur bhi kuch roz raha To Musalman ka nishan bhi na numayan hoga
Subh-e-roshan ki siyah-bakhti se ab sham hui Kab Qamar noor-deh-e-sham-e-ghariban hoga
Tu agar chaahay milay khaak mein Sultan-e-Zaman Tera banda koi to chaahay to sultan hoga
Zulmat-e-qabr ka kya khauf mujhe ai Noori! Jab mere qalb mein imaan ka lam'aan hoga





