Mera dil tarap raha hai mera jal raha hai seena Ke dawa wahin milegi mujhe le chalo Madinah
Jalwa-e-Mustafa ﷺ jo nazar aa raha hai dil mein Main sochta hoon dil mein mera dil hai ya Madinah
Beshaq banalo Aaqa ﷺ mehman do ghari ka Ek baar to dikha do Ramzan mein Madinah
Nahin maal-o-zar to kya hai main ghareeb hoon yahi na! Mere ishq mujh ko le chal tu hi janib-e-Madinah
Su-e-Taibah jaane walo mujhe chor kar na jaana Meri aankhon ko dikha do Shah-e-Deen ﷺ ka aastana
Iqbal na-tawan ki bas ek iltija hai Rahe zindagi salamat to main dekh loon Madinah




