Kya khabar kya saza mujhko milti, mere Aaqa ne izzat bacha di Fard-e-isyaan meri mujhse le kar, kaali kamli mein apni chhupa di
Woh ata par ata karne waale aur hum bhi nahi talne waale Jaisi dyodhi hai waise bhikaari, jaisa Daata waise sawaali
Main gada hoon magar kis ke dar ka, woh jo Sultan-e-kon-o-makaan hain Yeh ghulami badi mustanad hai, mere sar par hai taaj-e-Bilali
Main Madine se kya aa gaya hoon, zindagi jaise bujh si gayi Ghar ke andar fiza sooni sooni, ghar ke baahar samaan khaali khaali
Meri umr-e-rawaan bas theher ja, ab safar ki zaroorat nahi Un ke qadmon mein teri jabeen hai aur haathon mein roze ki jaali
Main faqat naam lewa hoon un ka, un ki tauseef mein kya karoon ga Main na Iqbal, Khusro na Saadi, main na Qudsi na Jami na Haali




