Har waqt tasawwur mein Madine ki gali hai Ab dar badari hai na gharib-ul-watani hai
Woh sham-e-haram jis se munawwar hai Madinah Kaabe ki qasam raunaq-e-Kaaba bhi wahi hai
Is shehr mein bik jaate hain khud aa ke kharidar Yeh Misr ka bazaar nahi shehr-e-Nabi hai
Nazron ko jhukaye hue khamosh guzar ja Betab nigahein bhi yahan be-adabi hai
Iqbal main kis munh se karoon madh-e-Muhammad ﷺ Munh mera bahut chota hai aur baat badi hai




