Madine ka safar hai aur main namdeeda namdeeda Jabeen afsurdah afsurdah qadam laghzida laghzida
Chala hoon ek mujrim ki tarah main janib-e-Taiba Nazar sharminda sharminda badan larzida larzida
Kisi ke haath ne mujh ko sahara de diya warna Kahan main aur kahan ye raaste pacheeda pacheeda
Tawaf-e-koocha-e-jaanaan ke qabil kaun samjhe ga Mera ehram-e-hasti dekh kar boseeda boseeda
Kahan main aur kahan us rauza-e-aqdas ka nazara Nazar us samt uthti hai magar duzdeeda duzdeeda
Madine jaake hum samjhe taqaddus kis ko kehte hain Hawa pakeeza pakeeza fiza sanjeeda sanjeeda
Wohi Iqbalؔ jis ko naaz tha kal khush mizaji par Firaq-e-Taiba mein rehta hai ab ranjeeda ranjeeda




