Main to khud un ke dar ka gada hoon, Apne Aaqa ko main nazr kya doon Ab to aankhon mein kuch bhi nahi hai, Warna qadmon mein aankhein bicha doon
Aane wali hai un ki sawari, Phool naaton ke ghar ghar saja doon Mere ghar mein andhera bohat hai, Apni palkon se sham'ein jala doon
Meri jholi mein kuch nahi hai, Mera sarmaya hai to yahi hai Apni aankhon ki chandi baha doon, Apne maathe ka sona luta doon
Be-nigahi pe meri na jayen, Deeda-war mere nazdeek aayen Main yahin se Madinah dikha doon, Dekhne ka saleeqa sikha doon
Rauza-e-pak pesh-e-nazar hai, Samne mere Aaqa ka dar hai Mujh ko kya kuch nazar aa raha hai, Tum ko lafzon mein kaise bata doon
Mere aansoo bohat qeemti hain, Un se wabasta hain un ki yaadein Un ki manzil hai khak-e-Madinah, Yeh guhar yun hi kaise luta doon
Mujh ko Iqbal nisbat hai un se, Jin ka har lafz jaan-e-sukhan hai Main jahan naat apni suna doon, Saari mehfil ki mehfil jaga doon




