Maraz-e-ishq ka beemar bhi kya hota hai Jitni karta hai dawa dard siwa hota hai
Kyun abas khauf se dil apna hua hota hai Jab karam aap ka Aasi pe Shaha hota hai
Jis ka haami woh Shah-e-har do sara hota hai Qaid-o-band-e-dojahan se woh riha hota hai
Un ka irshad hai irshad-e-Khudawand-e-Jahan Yeh wahi kehte hain jo Rab ka kaha hota hai
Badshahan-e-jahan hote hain mangta us ke Aap ke kooche ka Shaha jo gada hota hai
Palla neki ka ishaare se barha dete hain Jab karam banda nawazi pe tula hota hai
Sara aalam hai Raza-jo-ye Khudawand-e-Jahan Aur Khuda aap ka joya-e-Raza hota hai
Hum ne yun sham-e-Risalat se lagayi hai lau Sab ki jholi mein unhin ka to diya hota hai
Az Shaha ta ba-gadayaan-e-jahan ik aalam Aap ke dar pe Shaha arz-e-rasa hota hai
Aisi sarkaar hai bharpoor jahan se lene Roz ek mela naya dar pe laga hota hai
Dono hathon se lutate hain khazana lekin Jitna khali karein utna hi bhara hota hai
Karda na-karda ishaare mein tumhaare hojaye Be-kya aap ke sadqa mein kya hota hai
Bekas-o-bebas-o-be-yaar-o-madadgar jo ho Aap ke dar se Shaha sab ka bhala hota hai
Un se dushman ki museebat nahi dekhi jaati Dushmanon ke liye ji un ka bura hota hai
Jagmaga uthta hai dil ka mere zarra zarra Jab mera jaan-e-Qamar jalwa-numa hota hai
Aap mehboob hain Allah ke aise mehboob Har muhib aap ka mehboob-e-Khuda hota hai
Jis gali se tu guzarta hai mere jaan-e-jinan Zarra zarra teri khushbu se basa hota hai
Arsh-e-Aala se kahin baala hai rutba us ka Aap ke qadmon se sar jis ka laga hota hai
Pyaaso muzda ho ke woh Saqi-e-Kausar aaye Chain hi chain hai ab jaam-e-ata hota hai
Aastane ke gadaon ke liye rehmat hai Aur aada pe Shaha qahr-e-Khuda hota hai
Kab gul-e-Taiba ki khushbu se basein ge dil-o-jaan Dekhiye kab karam-e-baad-e-saba hota hai
Dekhiye ghuncha-e-dil apna khule ga kab tak Dekhiye kab dil-e-pazmurda hara hota hai
Kab bahaar-e-chaman-e-Taiba nazar aati hai Dekhiye kab dil-e-pazmurda hara hota hai
Sar-bulandi use hasil hai Janab-e-Rab mein Jo koi dar pe tere nasiya-sa hota hai
Dil tapa soz-e-mohabbat se ke sab mail chhute Tapne ke baad hi to sona khara hota hai
Kab mitane se kisi ke khat-e-taqdeer mite Ho ke rehta hai jo qismat ka likha hota hai
Mahw-e-isbaat ki haan aap ne qudrat payi Tum jo chaho to bura aaj bhala hota hai
Tera deedar muyassar ho jise Noor-e-Khuda Use dunya hi mein deedar-e-Khuda hota hai
Woh nahi hashr mein jo hoga Shaha be-parda Balkay jo aap ke parda mein ata hota hai
Tera jalwa nahi Allah ka jalwa hai woh Teri soorat se Khuda jalwa-numa hota hai
Tu hai aaina-e-Zaat-e-Ahadi aye pyare Yun usi ka hai woh jalwa jo tera hota hai
Daagh-e-dil mein jo maza paya hai Noori tum ne Aisa dunya ki kisi sheh mein maza hota hai





