Marhaba sarwar-e-konain Madine wale Hum gunahgaaron ke sukh chain Madine wale
Naam honton pe tera aaya to mehsoos hua Mil gayi daulat-e-darain Madine wale
Yaad karke tere darbar ke nazaron ko Khoob rote hain mere nain Madine wale
Dekh leta hoon Madine ka musafir jo kahin Dil mera hota hai be-chain Madine wale
Ek muddat se hoon betab-e-ziyarat Aaqa Ho karam sadqa-e-Hasnain Madine wale
Main kahan meri haqeeqat hi Zahoor-i kya hai Taaj-e-shahan teri na'lain Madine wale





