Maqbool dua karna manzoor sana karna Midhat ka sila dena maqbool sana karna
Dil zikr-e-shareef un ka har subh-o-masa karna Din raat japa karna har aan rata karna
Seena pe qadam rakhna dil shaad mira karna Dard-e-dil-e-muztar ki Sarkar dawa karna
Sansar bhikari hai jag daata daya karna Hai kaam tumhara hi Sarkar ata karna
Kab aap ke koocha mein mangta ko sada karna Khud bheek liye tum ko mangta ko nida karna
Din raat hai Taibah mein daulat ka luta karna Mangta ki dawa karna mangta ka bhala karna
Hum ain jafa hi hain hum ko to jafa karna Aur tum to karam hum par ae jaan-e-wafa karna
Din raat khataon par hum ko hai khata karna Aur tum ko ataon par har dam hai ata karna
Hum apni khataon par nadim bhi nahi hote Aur un ko ataon par har baar ata karna
Hum aap hi apne par karte hain sitam had bhar Aur un ko karam hum par hai had se siwa karna
Hai aath pehar jaari langar mere daata ka Har aan hai sarkari baaray ka luta karna
Mehroom nahi jis se makhlooq mein koi bhi Woh faiz unhein dena woh jud-o-sakha karna
Hai aam karam un ka apne hon ke hon aada Aata hi nahi goya Sarkar ko la karna
Mehroom gaya koi mayoos phira koi Dekha na suna un ka inkaar-o-aba karna
Mayoos gaya koi mehroom phira koi Duniya ke salateen ko kab aaya ata karna
Dukh dard kahein kis se yeh kaam to hain un ke Faryaad suna karna aur daad diya karna
Wallah woh sun lein ge aur dil ki dawa dein ge Be-kaar na jaye ga faryaad-o-baka karna
Aada ko Khuda wala jab tum ne bana dala Dushwar hai tum par kya mujh bad ka bhala karna
Sookhi hai mari kheti par jaye bharan teri Ae abr-e-karam itna to bahar-e-Khuda karna
Jo sokhta heezam ko chaho to hara kar do Mujh sokhta jaan ka bhi dil pyare hara karna
Taibah mein bula lena aur apna bana lena Qaid-e-gham-e-furqat ke Sarkar riha karna
Hum arz kiye jayen Sarkar sune jayen Kya door karam se hai din aisa shaha karna
Sang-e-dar-e-Sarwar par rakha hua ho yeh sar Ae kaash ho qismat mein is tarah qaza karna
Khul jayen chaman dil ke aur huzn mitein dil ke Taibah se saba aa ke imdaad zara karna
Har daagh mita dena aur dil ko shifa dena Aaina bana dena aisi to jala karna
Sarwar hai wohi Sarwar ae Sarwar-e-har Sarwar Hai aap ke qadmon par sar jis ko fida karna
Shehra lab-e-Isa ka jis baat mein hai Maula Tum jaan-e-Maseeha ho thokar se ada karna
Tu jaan-e-Maseeha se halat mari ja kehna Itna to karam mujh par ae baad-e-saba karna
Parda mein jo rehte ho parda hai chale aao Aankhon mein basa karna tum dil mein raha karna
Uff kaisi qayamat hai yeh roz-e-qayamat bhi Suraj hai wahin qaim bhoola hai dhala karna
Lillah hamein Maula daaman ke tale le lo Hum kaisi bala mein hain haan radd-e-bala karna
Yeh zill-e-karamat hai hum saya-e-rehmat hai Yeh saya-e-raafat hai daaman zara wa karna
Ae zill-e-Khuda saya hai aaj kahan paya Hum saye ko aaye hain tum saya zara karna
Lab tishna hai go saaqi tishna teri ru'iyat ka Ru'iyat jo na ho teri to jaam ka kya karna
Hon tishna magar saaqi deedar ke sharbat ka Ik jaam mujhe pyare lillah ata karna
Tishna mein nahi is ka tishna hoon main ru'iyat ka Saaqi mujhe Kausar ke saghar ko hai kya karna
Hai pyaas se haal abtar nikli hai zabaan baahar Ik jaam mujhe Sarwar Kausar ka ata karna
Jo dil se tujhe chahein jo aib tere dhanpein Ae nafs tujhe un se kambakht dagha karna
Woh tera bura chahein mumkin hi nahi un se Aada ki bhalai ki jin ko hai dua karna
Duniya bane ya bigre duniya rahe ya jaye Tu deen bana pyare duniya ka hai kya karna
Khaya piya aur pehna achon se raha acha Kuch deen ka bhi kar le duniya ka hai kya karna
Qismat mein gham-e-duniya jannat ka qabala ho Taqdeer mein likha ho jannat ka maza karna
Duniya mein jo rote hain uqba mein woh hanste hain Duniya mein jo hanste hain hai un ko kudha karna
Musa huye ghash jis se aur Toor jala jis se Woh jalwa mere dil par ae noor-e-Khuda karna
Barbaad na ho mitti is khaak ke putle ki Allah mujhe un ki khaak-e-kaf-e-pa karna
Kyon naqsh-e-kaf-e-pa ko dil se na lagaye woh Hai aaina-e-dil ki Noori ko jala karna





