Main bura hoon ya bhala hoon meri laaj ko nibhana Mujhe jaanta hai saajan tere naam se zamana
Teri aashiqi se pehle mujhe kaun jaanta tha Tere ishq ne bana di meri zindagi fasana
Mujhe us ka gham nahin hai ke badal gayi hai duniya Meri zindagi hai tum se kahin tum badal na jaana
Tu nawazne pe aaye to nawaz de zamana Tu kareem hi jo thehra to karam ka kya thikana
Tu manba-e-ata hai ke pukaar utha zamana Woh karam nawaziyan keen, ke karam ka kya thikana
Chaukhat pe aa gaya hoon sarkar aaj sun lo Meri dukh bhari kahani mera dukh bhara fasana
Rehne de mujh ko apne qadmon ki dhool ban kar Jo na ho tumhein gawara mujhe khaak mein milana
Tere naam se Zahoor-e mujhe jaanti hai duniya Tera jab se ho gaya hoon mera ho gaya zamana
Main bura hoon ya bhala hoon meri laaj ko nibhana Mujhe jaanta hai saajan tere naam se zamana





