We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Mah e Taiba Neer e Batha

Mustafa Raza Khan Noori

Mah-e-Taybah nayyar-e-bat-ha sallallahu alayka wa sallam Tere dam se aalam chamka sallallahu alayka wa sallam


Tu hai mazhar-e-Rabb-e-ajmal zil hain tere saare mursal Kaun hai hum sar tera shaha sallallahu alayka wa sallam


Tum ho pyare asl hamari saara jahan hai far'e tumhari Tum sab ki mahiyat goya sallallahu alayka wa sallam


Tum ho aqa marif-e-haq ke jalwe ho noor-e-mutlaq ke Tum ho hujjat-e-Rabb bar a'ada sallallahu alayka wa sallam


Tu hai naib-e-Rabb-e-Akbar pyare har dam tere dar par Ahl-e-hajat ka hai mela sallallahu alayka wa sallam


Haq ne banaya aisa tunagar Akbar o awsat o asghar o sarwar Tere dar par hazir jumla sallallahu alayka wa sallam



Find Your Favorite Lyrics Anytime, Anywhere - Install the App Today!

Get it on Google Play


Har shay mein hai tera jalwa tujh se roshan deen o duniya Banta tu ne noor ka baara sallallahu alayka wa sallam


Imaan teri azmat o ulfat aur tasdeeq o jazm-e-nisbat Momin woh jis ne paya sallallahu alayka wa sallam


Be shuba hai zain-e-ta'at haq yeh ke hai ain-e-ibadat Haq ke pyare tasawwur tera sallallahu alayka wa sallam


Teri ziya se aalam chamka SubhanAllah MashaAllah Jalwa-e-haq hai jalwa tera sallallahu alayka wa sallam


Noor-e-mujassam tere dam se Noori sadqe roz hain paate Mehar o mah o anjam aara sallallahu alayka wa sallam


Tu chahe woh jo Rabb chahe Rabb chahe woh jo tu chahe Chaha tera Rabb ka chaha sallallahu alayka wa sallam


Jitne salateen pehle aaye sikke un ke hogaye khote Jari rahega sikka tera sallallahu alayka wa sallam


Taj-e-sultan ban kar chamka tere naqsh-e-pa ka jalwa Tu hai noor-e-zaat-e-Maula sallallahu alayka wa sallam


Tere ghar ka bacha bacha saara gharana Syed-e-wala Noori moorat noor ka putla sallallahu alayka wa sallam


Ki hai abr-e-gham ne charhai mah-e-Taybah teri duhai Badr-e-duja ho jalwa farma sallallahu alayka wa sallam


Gham ki kaali ghatayen chhayen ranj o alam ki balayen chhayen Shams-e-zuha ho jalwa farma sallallahu alayka wa sallam


Khaar-e-gham kaisa chubhta hai kaisi khalish hai dil dukhta hai Pyare dil se nikalo kanta sallallahu alayka wa sallam


Rafe' tum ho dafe' tum ho nafe' tum ho shafe' tum ho Ranj o gham ka phir kya khatka sallallahu alayka wa sallam


Main hoon be-bas tu hi bas hai main hoon be-kas tu hi kas hai Kas le kamar aur bahar-e-madad aa sallallahu alayka wa sallam


Sar par badal kaale kaale dood-e-isyan ke hain chhale Dam ghut-ta hai mere Maula sallallahu alayka wa sallam


Main hoon tanha ban hai sona duzd-e-imaan sar par pahuncha Meri khabar le mere Maula sallallahu alayka wa sallam


Haal hamara jaisa zaboon hai aur woh kaisa aur woh kyun hai Sab hai tum par roshan shaha sallallahu alayka wa sallam


Har zarra par teri nazar hai har qatra ki tujh ko khabar hai Ho ilm-e-ladunni ke tum dana sallallahu alayka wa sallam


Aib se tum ko paak kiya hai ghaib ka tum ko ilm diya hai Aur khud haq bhi tum se chhupa kya sallallahu alayka wa sallam


Tu mere imaan ko jala de jaan-e-Masih-a dil ko jala de Murda hai dil mera Aqa sallallahu alayka wa sallam


Had se barh gaye isyan mere tu dho de aab-e-rehmat se Bahr-e-rehmat josh pe aa ja sallallahu alayka wa sallam


Kaisi zabanen sookh gayi hain pyas se bahar aayi hui hain Abr-e-karam dede ik chheenta sallallahu alayka wa sallam


Mehar-e-mahshar sar par sarwar phoonke de hai hum ko yaksar Mehar se kar gesu ka saya sallallahu alayka wa sallam


Munh tak mere paseena pahuncha dooba dooba dooba dooba Daman mein le lijiye Aqa sallallahu alayka wa sallam


Adam se ta Hazrat-e-Isa sab ki khidmat mein ho aaya Nafsi nafsi sab ne hi farmaya sallallahu alayka wa sallam


Mere Aqa mere Maula aap se sun kar inni laha Dam mein hai dam mere aaya sallallahu alayka wa sallam


Roshan hogaya us se sarwar pesh-e-dawar shafe-e-mahshar Mere Maula tum ho tanha sallallahu alayka wa sallam


Waqt-e-wiladat tum nahin bhoole waqt-e-rihlat yaad hi rakhe Apne bande tum ne shaha sallallahu alayka wa sallam


Aao aao meri khabar ko waroon tum par qalb o jigar ko Main bhi hoon tumhara banda sallallahu alayka wa sallam


Meri aankhon mere sar par mere dil par mere jigar par Pay-e-aqdas rakh do shaha sallallahu alayka wa sallam


Tere naqsh-e-qadam ne sarwar patthar mom banaye yaksar Mom bana dil-e-sangin mera sallallahu alayka wa sallam


Aap ka jalwa har juz o kul mein aap ke rang o boo har gul mein Aap ki boo se aalam mehka sallallahu alayka wa sallam


Kaun gaya hai arsh-e-ala tak kis ki rasai zaat-e-Khuda tak Tum ne paya aala paya sallallahu alayka wa sallam


Tum ho awwal tum ho aakhir tum ho batin tum ho zahir Haq ne bakhshe hain yeh asma sallallahu alayka wa sallam


Baraka sharrafa majjada karrama nawwara qalbaka asra allama Rabb ne tum ko kya kya bakhsha sallallahu alayka wa sallam


Sahib-e-daulat tum hi to ho qasim-e-ni'mat tum hi to ho Tum ho saare jag ke data sallallahu alayka wa sallam


Anta-r-Raafi' anta-n-Naafi' anta-d-Daafi' anta-sh-Shaafi' Ishfa' inda-r-Rabbi-l-a'la sallallahu alayka wa sallam


Anta-l-awwal anta-l-aakhir anta-l-batin anta-z-zahir Anta sami-ul-Maula ta'ala sallallahu alayka wa sallam


Man li nasir mali wali ghayruka mali fanzur hali Wasma' qali ya Mawlaya sallallahu alayka wa sallam


Anta-l-qasim Rabbuka mu'ti tum hi ne sab ko ni'mat di De do mujh ko mera hissa sallallahu alayka wa sallam


Anta shafee'i anta wakeeli anta habeebi anta tabeebi Anta kafeeli ya Mawlana sallallahu alayka wa sallam


Hazir-e-dar hai Noori muztar aap ka yeh moroosi sana gar Ibn-e-Raza hai khwahan Raza ka sallallahu alayka wa sallam

No Internet? No Problem! Get the App for Offline Lyrics!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah