Kya likhoon main bhala Rasulullah Aap ka martaba Rasulullah
Koi dikhla to de zamane mein Aap sa ba-ata Rasulullah
Khuli tafseer hai rafa'na ki Aap ka tazkira Rasulullah
Sara alam bana tumhare sabab Tum ho sab ki baqa Rasulullah
Tum na hote to kuch nahi hota Tum se hain do-sara Rasulullah
Na to paida hua na hoga kabhi Aap sa doosra Rasulullah
Sab ne tujh se suna kalam-e-Khuda Tu ne Rabb se suna Rasulullah
Wasl-e-Haq ke liye mila wallah Khoob ye silsila Rasulullah
Main Raza ka Raza tumhare hain Yun hua aap ka Rasulullah
Main Raza par fida Raza tum par Tum Habeeb-e-Khuda Rasulullah
Tum ko paya Khudaye-bartar se Tum se paya Khuda Rasulullah
Ma siwallah Haq Ta'ala ne Sab tumhein de diya Rasulullah
Sag-e-dar hukm ke khilaf kare Phir bhi do tum ghiza Rasulullah
Sab salateen-e-dahr dete hain Tere dar par sada Rasulullah
Badshahan-e-dahr par baitha Aap ka dabdaba Rasulullah
Mazhar-e-zat-e-Haq tumhari zat Haq ke tum aaina Rasulullah
Go ho zahir mein tum ba-shakl-e-bashar Par ho noor-e-Khuda Rasulullah
Tum mere badshah banda-nawaz Main tumhara gada Rasulullah
Sara alam tumhara parto hai Tum ho zill-e-Khuda Rasulullah
Sab hidayat ke aap ki mohtaj Aap hain rehnuma Rasulullah
Qudrat-e-Rabb ka aaina thehra Tera har mojaza Rasulullah
Anbiya dete hain Khuda ke huzoor Aap ka wasta Rasulullah
Hashr tak tum se faiz payenge Anbiya Awliya Rasulullah
Hum ghulamon pe hai tumhara fazl Tum pe fazl-e-Khuda Rasulullah
Bual-bashar kya ke sare alam ke Tum ho uqda-kusha Rasulullah
Sab tumhare huzoor faryadi Tum huzoor-e-Khuda Rasulullah
Haath khilqat ka mangne ke liye Teri janib utha Rasulullah
Paate Shams-o-Qamar hain lail-o-nahar Aap hi se ziya Rasulullah
Jaan nisaron ki sajda-gah kahoon Ya tera naqsh-e-pa Rasulullah
Tere dar pe maroon to aajaye Zindagi ka maza Rasulullah
Khak hai tere aastane ki Har marz ki dawa Rasulullah
Hai farishton ki aankh ka surma Aap ki khak-e-pa Rasulullah
Kalma La ilaha illallah Tum se zahir hua Rasulullah
Haq ki toheed ka do-alam mein Tum se danka baja Rasulullah
Deen-e-Islam kalma-e-toheed Tum se sab ko mila Rasulullah
Tum se Islam ki mili daulat Tum se imaan mila Rasulullah
Tum ne banta diya hua Rabb ka Sab tumhein se mila Rasulullah
Kya nazar aaye dil ke andhon ko Ikhtiyar aap ka Rasulullah
Tum jo chaho karo ke ho mukhtar Tum pe pyara Khuda Rasulullah
Tum ko Rabb ne kiya Samee-o-Baseer Hajat-e-arz kya Rasulullah
Tum ho waqif tamam ghaibon se Tum se kya hai chhupa Rasulullah
Zarra zarra na kyun ho tum pe ayan Rabb na tum se chhupa Rasulullah
Kya karoon arz tum pe zahir hai Haal sab kuch mera Rasulullah
Haan hamara bhi bakht chamka do Tum ho Shams-ud-Duha Rasulullah
Hai tu hi Qasim-e-hayat-o-mamat Dil-e-murda jala Rasulullah
Noor de qalb-o-chashm roshan kar Mere Badrud-Duja Rasulullah
Chashm-e-rehmat ke ik ishare se Aankh wala bana Rasulullah
Jidhar uthe nigah aaye nazar Tum ho jalwa-numa Rasulullah
Zat-e-aqdas mein apni karke fana Marhamat ho baqa Rasulullah
Tu hi tu mere qalb mein bas jaye Aisi de de fana Rasulullah
Mere qalb-o-dimagh mein Mawla Apni khushbu basa Rasulullah
Hum pe barsa do fazl ki barish Tum ho abr-e-sakha Rasulullah
Khol gaisoo ke teri ummat par Barse noori ghata Rasulullah
Apni rehmat se kijiye lillah Sunniyon ka bhala Rasulullah
Rehnumai karo ke mil jaye Aap ka rasta Rasulullah
Pesh-e-Rabb jis se hoon na sharminda Aisi de do haya Rasulullah
Bhar do kashkol mera rehmat se Tum ho bahr-e-ata Rasulullah
Al-madad al-madad pareshanam Fazl bar haal-e-ma Rasulullah
Bhar do jholi ke der se hai khada Aap ka be-nawa Rasulullah
Tum ko Qasim kiya hai Raziq ne Tum ne sab kuch diya Rasulullah
Rizq Rabb ka hai tum khilate ho Sare alam ko Ya Rasulullah
Tum ho mukhtar jis ko chaho do Naib-e-Kibriya Rasulullah
Tum siwa kaun hai zamane mein Mera hajat-rawa Rasulullah
Ba-tufail-e-Hussain kardo raha Hoon aseer-e-bala Rasulullah
Kaun bakhshaye ga baroz-e-jaza Hum ko tere siwa Rasulullah
Hai dua tere naam-e-nami par Ho mera khatma Rasulullah
Teri chaukhat pe dam nikal jaye Tere bande ka Ya Rasulullah
Bahr-e-taskeen haath rakh dije Mere dil par zara Rasulullah
Naz'a mein aur gor mein mujh ko Pyari soorat dikha Rasulullah
Pesh-e-Munkar-Nakeer mujh ko jawab Kardo talqeen Ya Rasulullah
Paar beda mera laga dije Aap hain nakhuda Rasulullah
Woh hai Munkar Khudaye-barhaq ka Jo hai munkir tera Rasulullah
Woh Jahannam ka ban gaya kunda Tujh se jo phir gaya Rasulullah
Jo tere doston se bughz rakhe Us pe qahr-e-Khuda Rasulullah
Jo tere dushmanon ko samjhe dost Us pe bijli gira Rasulullah
Jo ke Gangohi ki kare tareef Us ko andha utha Rasulullah
Thanwi ko jo peshwa jaane Us ko neecha dikha Rasulullah
Qadiani ko jo kahe momin Bhej us par bala Rasulullah
Peer-e-nature ko samjhe jo Muslim Khook us ko bana Rasulullah
In khabeeson ko jo kahe kafir Us pe fazl-e-Khuda Rasulullah
In shayateen pe jo kare laanat Us pe rehm-e-Khuda Rasulullah
Gandhwiya Wahabiya ke adu Chain payen sada Rasulullah
Mere ahbab-e-Ahlesunnat se Door kar har bala Rasulullah





