Kuch gham nahi agarcheh zamana ho bar-khilaf Un ki madad rahe toh kare kya asar khilaf
Un ka adu aseer-e-bala-e-nifaq hai Is ki zaban-o-dil mein rahe umar bhar khilaf
Karta hai zikr-e-pak se Najdi mukhalifat Kambakht bad-naseeb ki qismat hai barkhilaf
Un ki wajahaton mein kami ho mahal hai Bilfarz ik zamana ho un se agar khilaf
Uthun jo khwab-e-marg se aaye shamim-e-yar Ya Rabb na subh-e-hashr ho baad-e-sahar khilaf
Qurban jaaun rehmat-e-Aajiz-nawaz par Hoti nahi ghareeb se un ki nazar khilaf
Shan-e-karam kisi se awaz chahti nahi Lakh imtisal-e-amr mein dil ho idhar khilaf
Kya rehmatain hain lutf mein phir bhi kami nahi Karte rahe hain hukm se hum umar bhar khilaf
Ta'meel-e-hukm-e-Haq ka Hasan hai agar khayal Irshad-e-pak-e-Sarwar-e-Deen ka na kar khilaf





