We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Kon Hai Woh Jo Likhe

Jamil ur Rehman Qadri

Kaun hai woh jo likhe rutba-e-a'la un ka Wasf jab khud hi kare chahne wala un ka


Kyun dil-afroz na ho jalwa-e-zebah un ka Donon aalam mein chamakta hai tajalla un ka


Naimaton ka hai khazana dar-e-wala un ka Donon aalam mein bata karta hai baara un ka


Ek aalam hi nahin wala-o-shaida un ka Hai Khudawand-e-jahan chahne wala un ka


Tishnagi dil ki bujha deta hai chheenta un ka Khwan-e-afzal pe mehman hai zamana un ka


Sar-ba-sar noor-e-Khuda hai qad-e-bala un ka Noor bhar deta hai aankhon mein ujala un ka


Malak-o-jin-o-bashar padhte hain kalma un ka Janwar sang-o-shajar karte hain charcha un ka


Kaunsi shay hai woh jis par nahin qabza un ka Ka'ba-o-arz-o-sama arsh-e-mu'alla un ka


Zindagi paata hai kaunain mein murda un ka Dam bhara karte hain har waqt masiha un ka


Hashr mein pul se utarega sahara un ka Bediyan katne ko kaafi hai ishara un ka


Mujh sa aasi na sahi koi magar ae Zahid Jin sa shafi' nahin hai mujh ko wasila un ka


Zikr se tek lagi dil ko Khuda yaad aaya Fikr se hogaya aankhon ko nazara un ka


Bheek lene ko chale aate hain laakhon mangta Jis ne jo manga diya kaam hai dena un ka



Find Your Favorite Lyrics Anytime, Anywhere - Install the App Today!

Get it on Google Play


Chaand sooraj shab-e-asra mein muqabil hi na the Munh chupa lete agar dekhte talwa un ka


Bose leta kabhi aankhon ko munawwar karta Haath aata jo kahin naqsh-e-kaf-e-pa un ka


Aankh utha kar na kabhi dekhe woh jannat ki taraf Ek nazar dekh liya jis ne Madinah un ka


Jaan-o-dil kartin fida naqsh-e-qadam par un ke Dekh letin jo kabhi husn-e-Zulekha un ka


Hashr waale yeh kahein dekh ke mahshar mein mujhe Woh chala aata hai ek banda-e-shaida un ka


Di munadi ne nida hashr mein ae mushtaqo Dekh lo aaj ki be-parda hai jalwa un ka


Sab mahinon mein mubarak hai Rabi-ul-Awwal Jumma se fazl mein bartar hai doshamba un ka


Main Raza ka hoon Raza un ke to main un ka hoon Yun hi rakhe mujhe Allah Ta'ala un ka


Tujh ko kya fikr hai bakhshish ki Jameel-e-Rizwi Haath mein hai tere daman-e-mu'alla un ka

Find Your Favorite Lyrics Anytime, Anywhere - Install the App Today!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah