Koi taskeen na mili aur na dawa kaam aayi Har kare waqt mein Aaqa ki sana kaam aayi
Zulmaton ne jahan mahol ko aalooda kiya Zikr-e-Sarkar se jo mehki fiza, kaam aayi
Uthay toofan kayi baar safeenay doobay Rukh badalne ko Madinay ki fiza kaam aayi
Sab tabibon ki jahan chara-gari khatam hui Un kay qadmon ki wahan khaak-e-shifa kaam aayi
Naat bimar ki sunnay kay liye Aap ﷺ aaye Acha karne kay liye un ki rida kaam aayi
Saut ka husn bhi izhaar ko zeenat bakhshay Pesh-e-Sarkar ﷺ magar dil ki sada kaam aayi
Ja kay gharon mein meray wastay ronay walay Hashr mein sab kay liye teri dua kaam aayi
Roz-e-Mehshar na Zahoor-i tha koi zaad-e-amal Sarwar-e-Deen kay tabassum ki ada kaam aayi





