Koi saani nahi, mehboob banaya aisa Rab ne Sarkar ke paikar ko sajaya aisa
Martaba saari khudai mein bada usko mila Koi aayega kabhi aur na aaya aisa
Jo gire the woh uthay, duniya ke Sultan bane Mere Aaqa ne nigahon se uthaya aisa
Dushman-e-jaan the jo, hamdam-o-damsaz bane Mere Sarkar ne bichron ko milaya aisa
Jaan lene ke liye aaye, gire qadmon mein Mere Aaqa ne unhein jalwa dikhaya aisa
Wali-e-kon-o-makaan ho gaye mehman unke Abu Ayyub ne kulli ko sajaya aisa
Daad dete hain sar-e-Arsh malaik saare Jashn-e-Milad ghulamon ne manaya aisa
Marhaba kyun na kahein rehmat-e-aalam ke ghulam Zikr-e-Sarkar Zahoor-i ne sunaya aisa





