Koi kya jaane jo tum ho Khuda hi jaane kya tum ho Khuda toh keh nahin sakte magar shan-e-Khuda tum ho
Nabiyon mein ho tum aise Nabi-ul-Anbiya tum ho Haseenon mein tum aise ho ke mehboob-e-Khuda tum ho
Tumhara husn aisa hai ke mehboob-e-Khuda tum ho Mah-e-kamil kare kasb-e-ziya woh mah-e-liqa tum ho
Ulu-e-martabat pyare tumhara sab pe roshan hai Makeen-e-lamakann tum ho Shah-e-Arsh-e-ula tum ho
Tumhari hamd farmayi Khuda ne apne Quran mein Muhammad aur Mumajjad Mustafa-o-Mujtaba tum ho
Jo sab se pichla ho phir us ka pichla ho nahin sakta Ke woh pichla nahin agla hua us se wara tum ho
Tumhin se fath farmayi tumhin par khatm farmayi Rusul ki ibtida tum ho Nabi ki intiha tum ho
Khuda ne zaat ka apni tumhin mazhar banaya hai Jo haq ko dekhna chahein toh us ke aayina tum ho
Tumhin batin tumhin zahir tumhin awwal tumhin aakhir Nihan bhi ho ayan bhi mubtada-o-muntaha tum ho
Munawwar kar diya hai aap ke jalwon ne alam ko Mah-o-khursheed ko bakhshi ziya Noor-e-Khuda tum ho
Mita di kufr ki zulmat tumhare ru-e-roshan ne Sawera shirk ka tum ne kiya Shams-ud-Duha tum ho
Jahan tareek tha sara andhera hi andhera tha Tum aaye zulmaten tum se mitin Badr-ud-Duja tum ho
Mira munh kya ke main madh-o-sataish mein zaban kholun Mire Aaqa tum aise ho ke mamdooh-e-Khuda tum ho
Rafa'na se tumhari rif'at bala hui zahir Ke mehbooban-e-Rabb mein sab se aali martaba tum ho
Ulu-e-rutba-e-Sarkar-e-Aali sab pe roshan hai Makeen-e-lamakann tum ho Shah-e-Arsh-e-ula tum ho
Shab-e-Meraj se ay Sayyid-e-kul ho gaya zahir Rusul hain muqtadi saare Imam-ul-Anbiya tum ho
Na hote tum na hote woh ke asl-e-jumla tum hi ho Khabar the woh tumhari mere Maula mubtada tum ho
Tumhare chahne wale ko kuch aisi mohabbat hai Idhar ho jaye woh Maula jidhar Sadr-ul-Wara tum ho
Tumhare chahne wale use mehboob hain saare Kuch is andaaz ke pyare Habib-e-Kibriya tum ho
Tumhare baad paida ho Nabi koi nahin mumkin Nabuwwat khatm hai tum par ke Khatm-ul-Anbiya tum ho
Yeh kya main ne kiya kyun dhoond dala arsa-e-mehshar Hamein maloom tha pyare hamara mudda'a tum ho
Magar aisa na kyun hota ke mehshar mein yeh khulna tha Shafi-e-mujriman pesh-e-Khuda tanha Shaha tum ho
Giraftar-e-bala hazir hue hain toote dil le kar Ke har be-kal ki kal toote dilon ka aasra tum ho
Khabar leeje Khudara mere Maula mujh se be-kas ki Ke har be-kas ke kas be-bas ke bas roohi fida tum ho
Musallat kar diya tum ko Khuda ne apne ghaibon par Nabi Mujtaba tum ho Rasool-e-Murtaza tum ho
Chamak jaye dil-e-Noori tumhare paak jalwon se Mita do zulmaten dil ki mere Noor-ul-Huda tum ho





