Kya lutf hai sukhan ka agar chashm-e-tar na ho Milta nahin hai dard jo un ki nazar na ho
Ho is tarah se apni Madine mein haaziri Aaye dar-e-Habib to apni khabar na ho
Jhukta hai mera dil bhi mere sar ke saath saath Mumkin nahin ki aap ki yeh rahguzar na ho
Aasoodgi naseeb na ho jaan-e-zaar ko Sarkar ki nigah-e-inayat agar na ho
Jis shab rukh-e-Habib ka jalwa naseeb ho Phir us ki hashr tak bhi Ilahi sahar na ho
Be-kaif zindagi hai Zahuri tamam agar Mujh ko naseeb aap ke dar ka safar na ho





