Khushiyan manao bhaiyo! Sarkar ﷺ aagaye Sarkar ﷺ aagaye Shah-e Abrar ﷺ aagaye Sab jhoom kar kaho Sarkar ﷺ aagaye Do jahaan ke Malik o Mukhtar ﷺ aagaye Hai chaar jaanib aaj jashn-e aamad Rasool ﷺ Duniya mein aaj Nabiyon ke Salar ﷺ aagaye Khushiyon ke lamhaat aagaye deewane jhoom uthe AidoN ki Eid aagi Sarkar ﷺ aagaye Lahraao sabz parcham ae Islami bhaiyo! Ghar ghar karo Chiraaghan sab Sarkar ﷺ aagaye Ae Ghamzado! Tumhaari to nas Eid ho gayi Aafat-zado! Tumhaare madadgaar ﷺ aagaye Un ke karam se Hashr mein yeh shor mach gaya Dekho woh jhoomte hue Attar aagaye





