Khuda ne is qadr ooncha kiya paya Muhammad ka Na pehchana kisi ne aaj tak rutba Muhammad ka
Bahukm-e-Haq utarte hain farishtey khaas rehmat ke Kya karte hain jab ahl-e-sunan charcha Muhammad ka
Ta'ajjub kya agar insaan guzarey umar midhat mein Sana khwan hai do-aalam mein har ik zarra Muhammad ka
Siyah-karon ki kya ginti ki dargah-e-Ilahi mein Waseela dhoondte hain Hazrat-e-Musa Muhammad ka
Adeem-ul-misl-o-lasani hai woh zaat-e-mubarak yun Banaya hi nahin Allah ne saya Muhammad ka
Barhi jab zulmat-e-kufr-o-zalalat bazm-e-dunya mein Toh roshan kar diya Allah ne ika Muhammad ka
Kisi terak ko us ka kinara mil nahin sakta Ki jaari bahr-e-wahdat se hua chashma Muhammad ka
Shahanshah-e-Madinah badshah-e-haft kishwar hai Hawa Allah ki har shay pe hai qabza Muhammad ka
Tasaduq aisi rif'at par ki barson qabl dunya mein Sunate aaye muzdah Hazrat-e-Isa Muhammad ka
Nirali pyari pyari roshni hai shama-e-bari mein Ki hai sara zamana dil se parwana Muhammad ka
Madine ke muqaddar arsh ki taqdeer par qurbaan Kahan qismat ki is dil mein ho kashana Muhammad ka
Rafa'na ka rakha hai taj sar par Haq Ta'ala ne Pharera arsh-e-a'azam par ura kis ka Muhammad ka
Na kyonkar mushk-o-ambar mast hon gesu ki khushbu se Ki Haq ka dast-e-qudrat ho gaya shana Muhammad ka
Alam nashrah laka sadrak se yun aawaz aati hai Kushada kar diya Allah ne seena Muhammad ka
Baseerat Haq ne di hai jin ki aankhon ko woh kehte hain Hai roshan mehr-o-mah se barh ke har zarra Muhammad ka
Kharabi aankh ki hai gar na dekhey un ke jalway ko Ki aalam mein kisi se bhi nahin parda Muhammad ka
Bila wasl-e-Nabi wasl-e-Ilahi ghair mumkin hai Khuda ke ghar pohanchne ko hai darwaza Muhammad ka
Gunahgaron ki is se mushkilen aasan hoti hain Na kyonkar sab se barh kar naam ho pyara Muhammad ka
Nahin hai jo ghulam-e-Mustafa banda hai shaitan ka Wohi hai bandah-e-Haq jo hua banda Muhammad ka
Jameel Qadri aisi suna rangeen ghazal koi Ki be-khud ho yahan har ek mastana Muhammad ka





