Khud ko dekha toh tera jood-o-karam yaad aaya Tujh ko dekha toh musawwir ka qalam yaad aaya
Subh phooti toh tere rukh ki ziya yaad aayi Chand nikla toh tera naqsh-e-qadam yaad aaya
Ka'bah dekha toh teri but-shikni yaad aayi Khuld dekhi toh tera sehan-e-haram yaad aaya
Hum ne a'da ke mazaalim ka gila chhod diya Zaat par teri jo apno ka sitam yaad aaya
Dekh kar jhoote khudaon ki sakha ka dastoor Mujh ko Sarkar ka andaaz-e-karam yaad aaya
Roshni ter gayi hadd-e-nazar tak A'zam Jab bhi woh maah-e-Arab, mehr-e-Ajam yaad aaya





