Khizan ke maare hue jaanib-e-bahaar chale Qaraar paane zamaane ke beqaraar chale
Wahin pe thaam liya un ko dast-e-rehmat ne Nabi ke dar ki taraf jab gunaahgaar chale
Ae taajdaar-e-jahaan ae habeeb-e-Rabb-e-Kareem Woh bheek do ke ghareebon ka kaarobaar chale
Hamaare paas hi kya tha jo nazr karte unhein Bas ek dil hi tha jise kar ke hum nisaar chale
Riyaaz un ke karam se hui hai jeet apni Wagarna baazi the hum zindagi ki haar chale




