Furqat ki nahin hai Ya Ahmad ab taab tere bimaaron mein Deedar ka jaldi jaam pila hai shor tere mai-khaaron mein
Ho haath mein mere kaasah-e-dil Taibah ki suhani ho manzil Main ban ke bhikari mangta phirun Taibah ke bhare bazaaron mein
Thukraye koi dhutkare koi deewana samajh ke maare koi Sarkar-e-Madinah lijiye khabar hoon aap ke khidmat-gaaron mein
Woh noor jo Toor pe chamka tha jise Musa dekh ke ghash mein huye Ab us ki jhalak aati hai nazar tere roze ke minaron mein
Sarkar-e-Do-Alam sall-e-ala woh jalwa aap ke noor ka tha Namrood khara takta hi raha gulzar bana angaron mein
Tareef-e-Nabi ki koi bashar kya likhe Riaz khasta jigar Woh sab nabiyon mein aise hain jyun chand chamakta taaron mein




