Kahin na dekha zamane bhar mein jo kuch Madine mein aake dekha Tajalliyon ka laga hai mela jidhar nigahein utha ke dekha
Woh dekho vekho sunehri jali, udhar sawali, udhar sawali Qareeb se jo bhi un ke guzra Huzoor ne muskura ke dekha
Ajeeb lazzat hai be-khudi ki, ajab kashish hai dar-e-Nabi ki Suroor kaisa hai kuch na poochho lipat ke seene laga ke dekha
Tawaf-e-rauze ka kar rahi hain yahan wahan ashkbaar aankhein Hai goonj Salli 'ala ki har su jahan jahan pe bhi ja ke dekha
Jahan gaye un ka zikr chheda jahan rahe un ki yaad aayi Na gham zamane ke paas aaye Nabi ki naatein suna ke dekha
Zahoori jaage naseeb tere, bas ik nigah-e-karam ke sadqe Ke baar baar apne dar pe tujh ko tere Nabi ne bula ke dekha





