jis ko un ke karam ne pala hai Woh to adna kahan hai aala hai Dast-e qudrat ne aap dhala hai Un ka andaz hi narala hai Qurb maange Rasool-e-Akram ka jis ka maqsood haq-ta'ala hai Bhik paate hain jo Madinah se Un faqiron ka bol bala hai Jurm-e-isyān mere chhupaayega Zulfe-wilayil ka jo haala hai haq nazar aaya mere aqa ne Jaam-e didar jab achhala hai Aap ke dar se kaun khali gaya Aap ne kab kisi ko tala hai Woh samajhta hai aap kya kya hain jis ne Quran dekha bhala hai Un ka jalwa to har jagah hai magar Dekhta hai jo aankh wala hai Kyon na roshan-zameer hoon hum bhi Dil mein jab aap ka ujala hai Mustafa ke karam ne ay Khalid Pistiyon se humein nikala hai





