Jhoom kar saare pukaaro Marhaba ya Mustafa ﷺ Choom kar lab keh do yaaro Marhaba ya Mustafa ﷺ Keh kar aye asiyaan shaaro Marhaba ya Mustafa ﷺ Bigri qismat ko sanwaaro Marhaba ya Mustafa ﷺ Mufliso ghurbat ke maro Marhaba ya Mustafa ﷺ Keh ke daaman ko paasaro Marhaba ya Mustafa ﷺ Tum bhi keh do maaldaaro Marhaba ya Mustafa ﷺ Badshaho naamdaaro Marhaba ya Mustafa ﷺ Sab pukaaro be-qaraaro Marhaba ya Mustafa ﷺ Keh do ay furqat ke maro Marhaba ya Mustafa ﷺ Waadiyo aur koh-saaro Marhaba ya Mustafa ﷺ Murgh-zaaro Marhaba ya Mustafa ﷺ Baag ke rangeen nazaaro Marhaba ya Mustafa ﷺ Keh do tum bhi chaand taaro Marhaba ya Mustafa ﷺ Panchhiyon ki urti daaro Marhaba ya Mustafa ﷺ Kyun nahin kehte ho pyare Marhaba ya Mustafa ﷺ Keh bhi do na! Ab Dularo Marhaba ya Mustafa ﷺ Tum bhah keh do regzaaro Marhaba ya Mustafa ﷺ Mahke phoolon ki bahaar o Marhaba ya Mustafa ﷺ Keh do darya ke kinaaro Marhaba ya Mustafa ﷺ Bahr ke ae tez dhaaro Marhaba ya Mustafa ﷺ Dhoom hai Attar har soo Shah ﷺ ke milad ki Jhoom kar tum bhi pukaaro Marhaba ya Mustafa ﷺ Sarkar ﷺ ki aamad ........ Marhaba Sardar ﷺ ki aamad ........ Marhaba Mukhtar ﷺ ki aamad ........ Marhaba Manthaar ﷺ ki aamad ........ Marhaba Dildaar ﷺ ki aamad ........ Marhaba Salar ﷺ ki aamad ........ Marhaba Hazoor ﷺ ki aamad ........ Marhaba Parnoor ﷺ ki aamad ........ Marhaba





