Jab Masjid-e-Nabvi ﷺ ke minar nazar aaye Allah ki rahmat ke aasar nazar aaye
Manzar ho bayan kaise alfaaz nahi milte Jis waqt Muhammad ﷺ ka darbar nazar aaye
Bas yaad raha itna seene se lagi jali Phir yaad nahi kya kya anwar nazar aaye
Dukh dard ke maaron ko gham yaad nahi Jab samne aankhon ke ghamkhwar nazar aaye
Makkah ki fizaon mein, Taiba ki hawaon mein Hum ne to jidhar dekha Sarkar ﷺ nazar aaye
Chhor aaya Zahoor-i main dil-o-jaan Madine mein Ab jeena yahan mujh ko dushwar nazar aaye





