Ishq ka baab naya mujh pe khula naat ke baad Raasta mujh ko Madine ka mila naat ke baad
Mim ke parde se kuch raaz Muhammad ﷺ ne kahe Dil pe tehrer hui hamd-e-Khuda naat ke baad
Faisla kaun kare kaun jaza deta hai Hamd ke baad Muhammad ﷺ Khuda naat ke baad
Aajizi maang jabeen sai ki manzil se guzar Daad milte hi takabbur mein na aa naat ke baad
Apna dil aap tatolo toh samajh mein aaye Muztarib dil ko sukoon kyun na mila naat ke baad
Saf-ba-saf jurte chale jaate hain bikhre hue dil Baqi rehta hi nahi koi khala naat ke baad
Ek nisbat meri bazaar mein qeemat thehri Khota sikka tha magar khoob chala naat ke baad
Paanch naamon ke tasadduq hua Aadam afzal Khaak se ahsan-e-taqweem bana naat ke baad
Woh hi tarteeb rakhi main ne duroodon wali Silsila-war bas ek noha kaha naat ke baad
Pehle Ya Fatimah ؑ adrikni likha tha Akbarؔ Ya Ali ؑ shukriya kaaghaz pe likha naat ke baad


