Ali ؑ ke ghar ka ujaala Hussain ؑ ka chehra Hai gul-e-Batool ؑ ki duniya Hussain ؑ ka chehra
Paron ko dekh ke Futtus yeh bola man mithli Meri muraad hui poori arsh chhoo ne ki Ke main ne chhoo liya Maula Hussain ؑ ka chehra
Woh khaaliq-e-Khuda ko banata tha choomta tha khud hi Khud apne noor se jis waqt apne andar hi Khuda tarash raha tha Hussain ؑ ka chehra
Haram ki chhat pe khara ba-wafa yeh farmaye Yeh Kaaba chalta hua khud idhar chala jaaye Jidhar ko ho mere Aaqa Hussain ؑ ka chehra
Nawasa pusht se Nana ؐ ki jab utar aaya Suroor kaisa tha na jaane tool-e-sajda ka Nabi ؐ ne uthte hi chooma Hussain ؑ ka chehra
Khare hue the farishtay paron ko phailaye Kisi tarah hamain aab-e-hayat mil jaaye Abhi dhulaegi Zahra ؑ Hussain ؑ ka chehra
Falak se bhej diya tha usay zameen pe magar Janab-e-Fatima Zahra ؑ ki aankhon se Akbar ؔ Khuda bhi dekhta rehta Hussain ؑ ka chehra


