Ibadaton ke jahan par Hussainؑ ka haq hai Namaz sajda azan par Hussainؑ ka haq hai
Yeh keh ke chhor diya Hurؑ ne Shaam ka lashkar Khula yeh surah-e-Tauba ka tarjuma mujh par Har ek sachi zaban par Hussainؑ ka haq hai
Khuda ki bakhshi hui jaan toh le chuki Mere Imamؑ ne mujhko dobara zinda kiya Bas ab Habibؑ ki jaan par Hussainؑ ka haq hai
Hum ahl-e-ishq jo ghar mein alam sajate hain Ta'aruf apna zamane ko yeh batate hain Makeen hum hain makan par Hussainؑ ka haq hai
Ilahi khuld ki ahl-e-aza ko kya khabar Ghulam khush rahenge malikon ki chaukhat par Wahin basa de jahan par Hussainؑ ka haq hai
Pukarta hai yeh Rahib mujhe naseeb na the Yeh saat bete de mujhko Ibn-e-Zahraؑ ne So mere naam-o-nishan par Hussainؑ ka haq hai
Woh bargah ho masjid ke khana-e-Kaaba Woh koh-e-Toor ki manzil ho ba'd-e-Ashura Jahan Khuda hai wahan par Hussainؑ ka haq hai
Yazeed dekh yahi fath ki daleelein hain Teri sipah se barh kar yahan sabeelein hain Yeh dekh aab-e-rawan par Hussainؑ ka haq hai
Jo pehre dar rahe the mazar-e-Zainabؑ par Woh sab shaheed yeh kehte hain Shaam ke Akbarؔ Har inqilab-e-zaman par Hussainؑ ka haq hai


