Hamare dil ke aaina mein hai naqsha Muhammad ﷺ ka Hamari aankh ki putli mein hai jalwa Muhammad ﷺ ka
Khas-o-khashak se badtar hai begana Muhammad ﷺ ka Use hoshyar samjho jo hai deewana Muhammad ﷺ ka
Tumhare hi liye tha ae gunahgaro siyah-karo Woh shab bhar jaagna aur raat bhar rona Muhammad ﷺ ka
Jigar hota hai tukre tukre jis dam yaad aata hai Woh shab bhar jaagna aur raat bhar rona Muhammad ﷺ ka
Ghulamane-Muhammad ﷺ ke saron se bare-isyaan ko Ura le jaega ek aan mein jhonka Muhammad ﷺ ka
Siyah hain namai-aamaal apne garche ae Zahid Magar kaafi hai dhulne ke liye chheenta Muhammad ﷺ ka
Nida hogi yeh mahshar mein gunahgaro na ghabrao Woh dekho abre-rahmat jhoom kar utha Muhammad ﷺ ka
Agarcha abidon ke paas samane-ibadat hai Gunahgaron ko kaafi hai faqat eema Muhammad ﷺ ka
Lahad ka khauf kyun ho roze-mahshar ka ho kya khatka Liye jata hoon dil par likh ke main tughra Muhammad ﷺ ka
Khuda ke samne peshi hui jis dam to keh doon ga Bura hoon ya bhala lekin hoon main banda Muhammad ﷺ ka
Ta'ajjub kya agar munh pher le jannat se shaidai Ke hai rashke-bahare-khuld har koocha Muhammad ﷺ ka
Koi jaega dozakh ko koi jannat mein pahunche ga Madine ki taraf daure ga deewana Muhammad ﷺ ka
Ilahi is tane-khaki mein jab tak jaan baqi hai Rahe dil mein Ahad aur wirde-lab kalma Muhammad ﷺ ka
Nikalein rooh tan se Qabiz-ul-Arwah jab aakar Khudaya wirde-lab us waqt ho kalma Muhammad ﷺ ka
Huwal Mu'ti wa inni qasim se saaf zahir hai Bate ga hashr tak konain mein bara Muhammad ﷺ ka
Nahin mauqoof kuch un ki ata is ek aalam par Mile ga hashr mein bhi dekhna sadqa Muhammad ﷺ ka
Jameel Qadri mushkil hai midhat khatm kar is par Ke Haq ke baad bala sab se hai rutba Muhammad ﷺ ka
Main hoon banda Raza ka aur Raza Ahmed ke banda hain Jameel Qadri main yun hua banda Muhammad ﷺ ka





