We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Hon Jo Yaad e Rukh Purnoor

Hassan Raza Khan Barelvi

Hoon jo yaad-e-rukh-e-pur-noor mein murghan-e-qafas Chamak uthay chah-e-Yusuf ki tarah shaan-e-qafas


Kis bala mein hain giraftar aseeran-e-qafas Kal thay mehman-e-chaman aaj hain mehman-e-qafas


Haif dar chashm zadan sohbat-e-yaar aakhir shud Ab kahan Tayyaba wahi hum wahi zindan-e-qafas



No Internet? No Problem! Get the App for Offline Lyrics!

Get it on Google Play


Ruye gul sair nadeedim o bahar aakhir shud Haaye kya qahar kya ulfat-e-yaran-e-qafas


Nauha gar kyun na rahay murgh-e-khush ilhan-e-chaman Baagh say daam mila daam say zindan-e-qafas


Paayein sehra-e-Madinah toh gulistan mil jaaye Hind hai hum ko qafas hum hain aseeran-e-qafas


Zakhm-e-dil phool banay aah ki chalti hai naseem Roz afzoon hai bahar-e-chamanistan-e-qafas


Qafila dekhte hain jab su-e-Tayyaba jaatay Kaisi hasrat say tarapte hain aseeran-e-qafas


Tha chaman hi hamein zindan keh na tha woh gul-e-tar Qaid par qaid hua aur yeh zindan-e-qafas


Dasht-e-Tayyaba mein hamein shakl-e-watan yaad aayi Bad-naseebi say hua baagh mein arman-e-qafas


Ab na aayenge agar khul gayi qismat ki girah Ab girah baandh liya hum ne yeh paiman-e-qafas


Hind ko kaun Madinah say palatna chaahay Aish-e-gulzar bhula day jo na dauran-e-qafas


Cheh-chehay kis gul-e-khoobi ki sana mein hain Hasanؔ Nikhat-e-khuld say mehka hai jo zindan-e-qafas

More Lyrics, Less Storage - Install the App and Ditch the Screenshots!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah