Ho mubarak Ahl-e Imaan Eid-e Milad-un-Nabi ﷺ Ho gayi qismat durakhshaan Eid-e Milad-un-Nabi ﷺ Chaar soo hain kya chhama chham rehmaton ki baarishen Jhoomte hain Abr-e Baaran Eid-e Milad-un-Nabi ﷺ Noor ki phohaar barsee chaar soo hai roshni Ho gaya ghar ghar chiraagaan Eid-e Milad-un-Nabi ﷺ Chaar jaanib dhoom hai Sarkar ﷺ ke milad ki Jhoomta hai har Musalman Eid-e Milad-un-Nabi ﷺ Jante ho kyun hai roshan aasmaan par kahkashan Hai kya haq ne chiraagaan Eid-e Milad-un-Nabi ﷺ Hum na kyon roshan karein ghar-ghar-diye Milad ke Khud kare jab haq chiraagaan Eid-e Milad-un-Nabi ﷺ Aao Divaano! Chalo sab Amina ke ghar chalein Noor se bhar laayen daaman Eid-e Milad-un-Nabi ﷺ Eid-e Milad-un-Nabi ﷺ ka wasita Attar ko Bakhsh de Mola-e Rahman Eid-e Milad-un-Nabi ﷺ





