Har lahza hai rehmat ki barsaat Madinah mein Faizan-e-Muhammad ﷺ hai din raat Madinah mein
Palkon pe sajaunga main khaak-e-Madinah ki Le jaayen agar mujhko haalaat Madinah mein
Kuch haar duroodon ke hain zaad-e-safar mera Le jaunga ashk-o-ki soghaat Madinah mein
Arshi bhi sawaali hain farshi bhi sawaali hain Milti hai shafaat ki khairaat Madinah mein
Darbaar se koi bhi nakaam nahi phirta Sunte hain woh saail ki har baat Madinah mein
Jis zaat ki barkat se hai naam Zahoorie ka Hai jalwa-numa har su woh zaat Madinah mein





